BFS Graphs doubt . .. .

bhaiya , jese isme hamne bfs implementation ki hai ,
agar maanlo graph m dupicates element bhi hai to fir kya krenge?

hello @CODER_JATIN

duplicates matlab samjha nahi mai ?

agar graph mai same value repeat hori ho?

nahi aisa kabhi nahi hoga.
node hamesha unique hi rahegi.

ha ye ho sakta hai ki node pe jo data rakha hai wo kisi dusri node pe bhi same rakha ho.

ha ye ho sakta hai ki node pe jo data rakha hai wo kisi dusri node pe bhi same rakha ho?
matlab?

man lo
1-------2
ye graph hai.

to in node pe data jo hai wo same ho sakta hai.

maanlo dono pe 7 rakha hai.
ya ek pe 10 rakha hai aur ek 11 rakha hai

acha to matlab bhaiya , kisi vertex pe to duplicate value ni ho skti na?

1----1 aisa bol rahe ho kya? (ki do vertex hai aur dono ka number same hai)

kuch ese , 4-----3------4-------3 ??

a)
do different vertex ka vertex number hamesha different rahega.
b)
unpe value jo rakhi hai wo same ho sakti hai.

maan lo
1------2 grapha hai (1 aur 2 vertex no hai , ye number hamesha distinct honnge )
but inpe kuch value ho sakti hai maan to vertex 1 pe A hai aur vertex 2 pe B.
to ye value different ho aisa jaruri nahi hai.
but vertex number hamesha different honge

okay bhaiya okay !!!
thank you :slight_smile:

I hope I’ve cleared your doubt. I ask you to please rate your experience here
Your feedback is very important. It helps us improve our platform and hence provide you
the learning experience you deserve.

On the off chance, you still have some questions or not find the answers satisfactory, you may reopen
the doubt.